Sunday, February 3, 2008

Agar yahi jeena hai doston to phir marna kya hai?










Shehar ki is daud mein daud ke karna kya hai?

Agar yahi jeena hai doston to phir marna kya hai?

Pehli baarish mein train late hone ki fikr hai

Bhool gaye bheegte hue tehalna kya hai?

Serial ke kirdaron ka saara haal hai maloom

Par maa ka haal poochne ki fursat kahaan hai?

Ab ret pe nange paon tehalte kyon nahi?

108 hain channel par dil behalte kyon nahi?

Internet pe duniya ke toh touch mein hain,

Lekin pados me kaun rahta hai jaante tak nahi.

Mobile, landline sab ki bharmaar hai,

Lekin jigri dost tak pahunche aise taar kahan hain?

Kab doobte hue suraj ko dekha tha yaad hai?

Kab jaana tha shaam ka guzarna kya hai?

Toh doston shehar ki is daud mein daud ke karna kya hai

Agar yahi jeena hai to phir marna kya hai?

No comments: