Monday, July 30, 2007

Meri Talaash

Mei meri tanhai ki wajah doond raha hoon
Apne saye mei apna wajood doond raha hun
Andheri raat me khoi huvi Subha doond raha hun
Kali ghatoon ke peeche chupa huva chaand doond raha hun
Tooti hui aayene mei apna chehera doond raha hun
Sawan ki boondon mei kahi ek shabam doond raha hun
Patthjaad ke havaoo mei bahar doond raha hun
Registhan ki safed reton me pain ka ek katra dond rah hun
Majdhar mei fasi kashti ki tarha Sahil doond raha hun
Patthar ke murat mei bhagvan doon raha hun
Duniya ki bheed mei ek jeevan sathi doon raha hun
Karvan ke beech mei ek humsafar doond raha hun
Bhoolbulaye me mei apni manzil doond raha hun
Shehar ki is shor mei ek khamosh pal doond raha hun
Jo Andha dekh sake who roshni doond rahoon
Jo behara sun sake who aahat doond raha hun
Kisi ki janaze mei ek muskurahat doond raha hun
Paraye logon me koi apnaa doond raha hun
Haiwaano ki basti mei koi Masiha doond raha hun
Is duniya ke khoon kharabe mei aman doond raha hun
Tawaif ke kote par wafa doon raha hun
Lakho garibon mei koi amir doodn raha hum
Mazahabon mei insaniyat ka Matlab doond raha hun
Mei apne zinda hone ka maqsad doodn raha hun
Mei apne zinda hone ka maqsad doodn raha hun

No comments: