Wednesday, August 15, 2007

A Song being heard through The Window

Khuda se Mannat hai meri
Lauta de Jannat woh meri !
Woh Aman, woh chaman ka nazaara
O Khudaya, lauta de Kashmir doobara !
Meri rooh ki tasveer … mera Kashmir
O Khudaya, lauta de Kashmir doobara !
Charon taraf to pehle sukoon hi Sukoon tha
Awam ko Watan se Ishq ka Junoon tha

Ab Yahan qatl hai, ab Wahan khoon hai
Meri aulad mere Kashmir se mehroom hai, mehroom hai
Mera Kashmir savaanra kyon,
Jab isko yoon Ujadna tha
Khushnuma manzar pe khanjar kyon chalaya
O Khudaya, lauta de Kashmir doobara !
Meri Rooh ki Tasveer … mera Kashmir
O Khudaya, lauta de Kashmir doobara !
Chaahe Kafan ka joda mujhko pehna de Tu
Mere Bacche ko woh Jannat,
woh Kashmir dikha de Tu
Woh mera Gulistan ban gaya shamshaan
Yahan maut ki dehleez pe khada hai har Insaan
Tamanna hai guzaarish hai, Dard-e-dil ki khwahish hai
Doobti kashti ko dila de Tu kinara
Woh Aman, woh chaman ka nazaara
O Khudaya, lauta de Kashmir doobara !
O Khudaya, lauta de Kashmir doobara !
Meraa Kashmiiir … Merra Kashmiir !
Merraa Kashmiiir … Merraaa Kaashmeeeer !



No comments: